Monday, November 17, 2014

Kitaabon Sa Rishta - Part 1

Main kitaabon mein uljhat-ti
Kabhi kahaani ki parton mein sulajhti
Nazm si khoobsurat
Ghazal ki nazuk
Ashaar si daqeeq
Aur sher si bebak
Meri zindagi zard panne samete
Phalsapha ban chali thi
Gham ka sabab na thi woh
Khushnuma ho chali thi
Khayalon ka anjuman
Safed chaadar se dhaka tha
Sard fizaaon ka majma
Kitaabon ke oopar khada hai
Yeh kitaabein, mulaayam baatein
Kadak panno mein bolti hain
Sardiyaan hi toh sach hain
Yeh raaz kunkuni aankhon si kholti hain


Source - bookjunkiepromotion.com



P.S. - This is the first of a four part poem. Next part to come up in a few days. 

No comments:

Post a Comment